ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin
ufuq ke ḳhūnīñ dhuñdlakoñ kā sub.h naam nahīñ
qadam baḌhā ki ye sāthī tirā maqām nahīñ
abhī na de mujhe izn-e-bahār ai saaqī
abhī hayāt sitāroñ se ham-kalām nahīñ
milā hai ab kahīñ sadiyoñ ke ba.ad mastoñ ko
vo mai-kada ki jahāñ koī tishna kaam nahīñ
na ārizoñ pe shafaq hai na gesuoñ meñ shikan
ye sub.h-o-shām nahīñ mere sub.h-o-shām nahīñ
bahār-e-dair-o-haram le ke kyā karūñ nāseh
ye qāfile to abhī tak sahar-maqām nahīñ
qadam qadam pe hai darkār jahd-o-fikr-o-amal
ye zindagī hai sadā-e-shikast-e-jām nahīñ
abhī to dāman-e-shab meñ sisak rahī hai sahar
baḌhe chalo ki abhī sā.at-e-qayām nahīñ
ufuq ke KHunin dhundlakon ka subh nam nahin
qadam baDha ki ye sathi tera maqam nahin
abhi na de mujhe izn-e-bahaar ai saqi
abhi hayat sitaron se ham-kalam nahin
mila hai ab kahin sadiyon ke baad maston ko
wo mai-kada ki jahan koi tishna kaam nahin
na aarizon pe shafaq hai na gesuon mein shikan
ye subh-o-sham nahin mere subh-o-sham nahin
bahaar-e-dair-o-haram le ke kya karun naseh
ye qafile to abhi tak sahar-maqam nahin
qadam qadam pe hai darkar jahd-o-fikr-o-amal
ye zindagi hai sada-e-shikast-e-jam nahin
abhi to daman-e-shab mein sisak rahi hai sahar
baDhe chalo ki abhi saat-e-qayam nahin
- Book : Taqdeer-e-hina (Pg. 25)
- Author : Arshi Bhopali
- Publication : Hind Offset Printers, Bhopal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.