ufuq mein gharq hoti sham ke manzar pe likkha tha
ufuq meñ ġharq hotī shaam ke manzar pe likkhā thā
hamārī pyaas kā qissa har ik sāġhar pe likkhā thā
bazāhir log to shādāb chehre le ke phirte the
udāsī kā fasāna ghar ke bām-o-dar pe likkhā thā
tumhāre shahr meñ har shai mayassar thī hameñ lekin
yahāñ koī nahīñ rahtā ye har ik ghar pe likkhā thā
fasāna rabt-e-bāham kā ajab ḳhatt-e-shikasta meñ
bikharte TūTte alfāz ke paikar pe likkhā thā
jise tum ne uThā kar pheñk Daalā thā samandar meñ
hamāre baḳht kā qissa usī patthar pe likkhā thā
mirī āñkhoñ meñ thiiñ pahnā.iyāñ saat āsmānoñ kī
safar āfāq kā mere hī bāl-o-par pe likkhā thā
uThā kar le ga.e ahbāb ham ko 'maz.harī' jis se
hamārā dard-e-mahrūmī usī bistar pe likkhā thā
ufuq mein gharq hoti sham ke manzar pe likkha tha
hamari pyas ka qissa har ek saghar pe likkha tha
bazahir log to shadab chehre le ke phirte the
udasi ka fasana ghar ke baam-o-dar pe likkha tha
tumhaare shahr mein har shai mayassar thi hamein lekin
yahan koi nahin rahta ye har ek ghar pe likkha tha
fasana rabt-e-baham ka ajab KHatt-e-shikasta mein
bikharte TuTte alfaz ke paikar pe likkha tha
jise tum ne uTha kar phenk Dala tha samandar mein
hamare baKHt ka qissa usi patthar pe likkha tha
meri aankhon mein thin pahnaiyan sat aasmanon ki
safar aafaq ka mere hi baal-o-par pe likkha tha
uTha kar le gae ahbab hum ko 'mazhari' jis se
hamara dard-e-mahrumi usi bistar pe likkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.