ufuq par tulu-e-sahar dekhte hain
ufuq par tulū-e-sahar dekhte haiñ
bas ik ḳhvāb hai raat bhar dekhte haiñ
zamīñ par to ḳhāna-badoshī hai apnī
falak se pare apnā ghar dekhte haiñ
hamārī nazar āḳhirī daav par hai
abhī zer haiñ par zabar dekhte haiñ
zabāñ aur hī kuchh bayāñ kar rahī hai
ham ahl-e-nazar haiñ nazar dekhte haiñ
bahut TuuT kar ham ne rishte nibhā.e
zarā ek din toḌ kar dekhte haiñ
ab ā.īna hāthoñ meñ rakhte nahīñ ham
hathelī pe dastār-o-sar dekhte haiñ
haiñ 'iqbāl' kuchh aise manzar bhī jin ko
nahīñ dekhnā thā magar dekhte haiñ
ufuq par tulu-e-sahar dekhte hain
bas ek KHwab hai raat bhar dekhte hain
zamin par to KHana-badoshi hai apni
falak se pare apna ghar dekhte hain
hamari nazar aaKHiri daw par hai
abhi zer hain par zabar dekhte hain
zaban aur hi kuchh bayan kar rahi hai
hum ahl-e-nazar hain nazar dekhte hain
bahut TuT kar hum ne rishte nibhae
zara ek din toD kar dekhte hain
ab aaina hathon mein rakhte nahin hum
hatheli pe dastar-o-sar dekhte hain
hain 'iqbaal' kuchh aise manzar bhi jin ko
nahin dekhna tha magar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.