ufuq pe dudhiya saya jo panw dharne laga
ufuq pe dūdhiyā saaya jo paañv dharne lagā
muhīb raat kā shīrāza hī bikharne lagā
tamām umr jo laḌtā rahā mire andar
mirā zamīr hī mujh se farār karne lagā
safar meñ jab kabhī lā-samtiyoñ kā zikr huā
hamārā qāfila tūl-e-safar se Darne lagā
sulag rahā hai kahīñ duur dard kā jañgal
jo āsmān pe kaḌvā dhuāñ bikharne lagā
chaḌhī nadī ko maiñ pāyāb kar ke kyā aayā
tamām shahr hī dariyā ke paar karne lagā
ajiib karb se guzrā hai jugnuoñ kā julūs
kahāñ Thaharnā thā is ko kahāñ Thaharne lagā
hamāre saath rahī hai safar meñ be-ḳhabarī
junūñ meñ soch kā imkān kaam karne lagā
bahut ajiib hai bātin kī gumrahī ai 'rind'
sukūt-e-zāhirī TukḌoñ meñ thā bikharne lagā
ufuq pe dudhiya saya jo panw dharne laga
muhib raat ka shiraaza hi bikharne laga
tamam umr jo laDta raha mere andar
mera zamir hi mujh se farar karne laga
safar mein jab kabhi la-samtiyon ka zikr hua
hamara qafila tul-e-safar se Darne laga
sulag raha hai kahin dur dard ka jangal
jo aasman pe kaDwa dhuan bikharne laga
chaDhi nadi ko main payab kar ke kya aaya
tamam shahr hi dariya ke par karne laga
ajib karb se guzra hai jugnuon ka julus
kahan Thaharna tha is ko kahan Thaharne laga
hamare sath rahi hai safar mein be-KHabari
junun mein soch ka imkan kaam karne laga
bahut ajib hai baatin ki gumrahi ai 'rind'
sukut-e-zahiri TukDon mein tha bikharne laga
- Book : Bujhte Lamhon ka Dhuaan (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.