ufuq se jab bhi naya aaftab ubhrega
ufuq se jab bhī nayā āftāb ubhregā
ba-shakl-e-karb ba-rañg-e-azāb ubhregā
har ek mauj samundar meñ chhup ke baiTh ga.ī
us ik yaqīñ pe kabhī to habāb ubhregā
ye gahrī hotī huī ḳhāmushī batātī hai
vo din qarīb hai jab inqalāb ubhregā
nadī vo ret kī hogī jidhar bhī dekhoge
lagegī pyaas to har sū sarāb ubhregā
maiñ apne hāthoñ se ākāsh chhūne vaalā huuñ
tirī jabīñ se bhī ab māhtāb ubhregā
vo ek shaḳhs jo gumnāmiyoñ meñ Duubā thā
kise ḳhabar thī ki le kar kitāb ubhregā
mirā jo azm salāmat rahā to ai 'shahzād'
javār-e-dasht se ik shahr-e-ḳhvāb ubhregā
ufuq se jab bhi naya aaftab ubhrega
ba-shakl-e-karb ba-rang-e-azab ubhrega
har ek mauj samundar mein chhup ke baiTh gai
us ek yaqin pe kabhi to habab ubhrega
ye gahri hoti hui KHamushi batati hai
wo din qarib hai jab inqalab ubhrega
nadi wo ret ki hogi jidhar bhi dekhoge
lagegi pyas to har su sarab ubhrega
main apne hathon se aakash chhune wala hun
teri jabin se bhi ab mahtab ubhrega
wo ek shaKHs jo gumnamiyon mein Duba tha
kise KHabar thi ki le kar kitab ubhrega
mera jo azm salamat raha to ai 'shahzad'
jawar-e-dasht se ek shahr-e-KHwab ubhrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.