uga rahe hain sabhi aankhon mein babulon ko
uga rahe hain sabhi aankhon mein babulon ko
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
ugā rahe haiñ sabhī āñkhoñ meñ babūloñ ko
ki jis se noch sakeñge badan ke phūloñ ko
chalan jo dekhā zamāne kā bad-chalan jaisā
to maiñ ne tark kiyā jiine ke usūloñ ko
tilā.ī būñdoñ kī jhaḌiyāñ lagīñ jo sāvan meñ
kuñvāriyoñ ne shajar pe lagāyā jhūloñ ko
jigar pighaltā hai to shā'irī meñ Dhaltā hai
to kaun rokegā phir she'r ke nuzūloñ ko
kisī kā 'aib chhupānā bhī ik 'ibādat hai
faroġh detā nahīñ 'aib ke husūloñ ko
buḌhāpā aayā to aayā ḳhudā bhī yaad 'aḳhtar'
rulā rahā huuñ javānī kī apnī bhūloñ ko
uga rahe hain sabhi aankhon mein babulon ko
ki jis se noch sakenge badan ke phulon ko
chalan jo dekha zamane ka bad-chalan jaisa
to main ne tark kiya jine ke usulon ko
tilai bundon ki jhaDiyan lagin jo sawan mein
kunwariyon ne shajar pe lagaya jhulon ko
jigar pighalta hai to sha'iri mein Dhalta hai
to kaun rokega phir she'r ke nuzulon ko
kisi ka 'aib chhupana bhi ek 'ibaadat hai
farogh deta nahin 'aib ke husulon ko
buDhapa aaya to aaya KHuda bhi yaad 'aKHtar'
rula raha hun jawani ki apni bhulon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.