uga viraniyon ka ek shajar aahista aahista
ugā vīrāniyoñ kā ik shajar āhista āhista
shikasta ho ga.e dīvār-o-dar āhista āhista
kahāñ jaatā hai ye sail-e-ravān-e-umr-e-gum-gashta
bahe jaate haiñ roz-o-shab kidhar āhista āhista
mire dil ke ḳharābe ko kabhī ābād kar aise
mirī jaañ ke bayābāñ se guzar āhista āhista
hue ham donoñ ḳhākistar dhuāñ uTThā na aañch aa.ī
huī kyūñkar zamāne ko ḳhabar āhista āhista
uga viraniyon ka ek shajar aahista aahista
shikasta ho gae diwar-o-dar aahista aahista
kahan jata hai ye sail-e-rawan-e-umr-e-gum-gashta
bahe jate hain roz-o-shab kidhar aahista aahista
mere dil ke KHarabe ko kabhi aabaad kar aise
meri jaan ke bayaban se guzar aahista aahista
hue hum donon KHakistar dhuan uTTha na aanch aai
hui kyunkar zamane ko KHabar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.