ujaDti hui taqdir se bandha hua hai
ujāḌtī huī taqdīr se bañdhā huā hai
ye dil hai aur ġham-e-ta.amīr se bañdhā huā hai
vo kyā hai jo mujhe tere qarīb rakhtī hai
daraḳht kaun sī zanjīr se bañdhā huā hai
ḳhudā zarūr karegā mirī taraf-dārī
musavvir apnī tasāvīr se bañdhā huā hai
suḳhan-varī to ghaTātī hai sirf dil kā ġhubār
sukūn sher kī tash.hīr se bañdhā huā hai
maiñ apne aap se kaise alag karūñ us ko
ye naqsh-e-pā hī to rahgīr se bañdhā huā hai
parā.e misre ko murdār māntā huuñ maiñ
mirā shikār mire tiir se bañdhā huā hai
ye hoñT bosa liye bin nahīñ raheñge kabhī
qalam koī bhī ho tahrīr se bañdhā huā hai
bahūr hazrat-e-ġhālib se le ke aa.e haiñ
ḳhayāl miir taqī 'mīr' se bañdhā huā hai
hameñ na niiñd kī qillat na ḳhvāb kī 'hamza'
hamārā mas.ala ta.abīr se bañdhā huā hai
ujaDti hui taqdir se bandha hua hai
ye dil hai aur gham-e-tamir se bandha hua hai
wo kya hai jo mujhe tere qarib rakhti hai
daraKHt kaun si zanjir se bandha hua hai
KHuda zarur karega meri taraf-dari
musawwir apni tasawir se bandha hua hai
suKHan-wari to ghaTati hai sirf dil ka ghubar
sukun sher ki tashhir se bandha hua hai
main apne aap se kaise alag karun us ko
ye naqsh-e-pa hi to rahgir se bandha hua hai
parae misre ko murdar manta hun main
mera shikar mere tir se bandha hua hai
ye honT bosa liye bin nahin rahenge kabhi
qalam koi bhi ho tahrir se bandha hua hai
bahur hazrat-e-ghaalib se le ke aae hain
KHayal mir taqi 'mir' se bandha hua hai
hamein na nind ki qillat na KHwab ki 'hamza'
hamara masala tabir se bandha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.