ujala ab na saya rah gaya hai
ujālā ab na saayā rah gayā hai
diyā bujh kar ke tanhā rah gayā hai
yahāñ ab kaun hai jo dard bāñTe
yahāñ ab kaun apnā rah gayā hai
utar aa.e sitāre sab zamīñ par
falak par chāñd tanhā rah gayā hai
diye kī lau ye shab se pūchh baiThī
abhī kitnā añdherā rah gayā hai
bujhā Daale diye yādoñ ke ham ne
magar phir bhī ujālā rah gayā hai
ujala ab na saya rah gaya hai
diya bujh kar ke tanha rah gaya hai
yahan ab kaun hai jo dard banTe
yahan ab kaun apna rah gaya hai
utar aae sitare sab zamin par
falak par chand tanha rah gaya hai
diye ki lau ye shab se puchh baiThi
abhi kitna andhera rah gaya hai
bujha Dale diye yaadon ke hum ne
magar phir bhi ujala rah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.