ujale shab ke kabhi raazdan nahin hote
ujāle shab ke kabhī rāzdāñ nahīñ hote
kisī ke marne ke charche yahāñ nahīñ hote
palak jhapakte buḌhāpe meñ paañv rakhte haiñ
hamāre ahd meñ bachche javāñ nahīñ hote
phaloñ kī shāḳh galī phāñd jaa.e phir bhī yahāñ
galī galī meñ fasāne bayāñ nahīñ hote
kisī tarah se ye sauġhāt baT hī jaatī hai
phaloñ ke baaġh meñ pahre kahāñ nahīñ hote
ajiib mel yahāñ dekhā aag paanī meñ
paḌe na dhuup to chashme ravāñ nahīñ hote
bachā rakhe haiñ mirī āñkhoñ ne zamāne se
koī bhī rut ho ye manzar dhuāñ nahīñ hote
ujale shab ke kabhi raazdan nahin hote
kisi ke marne ke charche yahan nahin hote
palak jhapakte buDhape mein panw rakhte hain
hamare ahd mein bachche jawan nahin hote
phalon ki shaKH gali phand jae phir bhi yahan
gali gali mein fasane bayan nahin hote
kisi tarah se ye saughat baT hi jati hai
phalon ke bagh mein pahre kahan nahin hote
ajib mel yahan dekha aag pani mein
paDe na dhup to chashme rawan nahin hote
bacha rakhe hain meri aankhon ne zamane se
koi bhi rut ho ye manzar dhuan nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.