ujalon ke alam-bardar rahiye
ujāloñ ke alam-bardār rahiye
bujhe mash'al to ḳhud tayyār rahiye
hai pinhāñ 'ishq kī tauqīr is meñ
gunahgār-e-salīb-o-dār rahiye
ye suntī kam sunātī hai ziyāda
zarā dīvār se hushiyār rahiye
samajhne meñ hī lag jaa.e zamāna
kuchh aise bhī na pur-asrār rahiye
havāoñ kā safar hai zindagānī
bikharne ke liye tayyār rahiye
magar jab tak bane jaliye sulagiye
jahāñ tak ho sake bedār rahiye
vo aa.egā magar shart-e-vafā hai
sarāpā intizār-e-yār rahiye
ujalon ke alam-bardar rahiye
bujhe mash'al to KHud tayyar rahiye
hai pinhan 'ishq ki tauqir is mein
gunahgar-e-salib-o-dar rahiye
ye sunti kam sunati hai ziyaada
zara diwar se hushiyar rahiye
samajhne mein hi lag jae zamana
kuchh aise bhi na pur-asrar rahiye
hawaon ka safar hai zindagani
bikharne ke liye tayyar rahiye
magar jab tak bane jaliye sulagiye
jahan tak ho sake bedar rahiye
wo aaega magar shart-e-wafa hai
sarapa intizar-e-yar rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.