ujalon se talluq joD kar aahista aahista
ujalon se talluq joD kar aahista aahista
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
ujāloñ se ta.alluq joḌ kar āhista āhista
kamandeñ Dālūñgā maiñ chāñd par āhista āhista
banoge tum mire ik din magar āhista āhista
duāoñ meñ mirī hogā asar āhista āhista
mohabbat kā mire rashk-e-qamar āhista āhista
tire is dil pe bhī hogā asar āhista āhista
unheñ dekhā thā ham ne bas uchaTtī sī nigāhoñ se
magar vo kar rahe haiñ dil meñ ghar āhista āhista
mayassar ik mo.attar phuul kī mujh ko rifāqat hai
mirā jaarī hai ḳhushbū kā safar āhista āhista
nikhar aayā hai dhīre dhīre terā husn-e-dilkash ab
mohabbat se bhī ai jānāñ sañvar āhista āhista
tirā badmast pariyoñ sā sarāpā aaj dekhā to
huī nabz-e-nafas zer-o-zabar āhista āhista
vo kitne pahroñ meñ aur bandishoñ meñ ho magar us tak
pahuñch jā.egā merā nāma-bar āhista āhista
ujalon se talluq joD kar aahista aahista
kamanden Dalunga main chand par aahista aahista
banoge tum mere ek din magar aahista aahista
duaon mein meri hoga asar aahista aahista
mohabbat ka mere rashk-e-qamar aahista aahista
tere is dil pe bhi hoga asar aahista aahista
unhen dekha tha hum ne bas uchaTti si nigahon se
magar wo kar rahe hain dil mein ghar aahista aahista
mayassar ek moattar phul ki mujh ko rifaqat hai
mera jari hai KHushbu ka safar aahista aahista
nikhar aaya hai dhire dhire tera husn-e-dilkash ab
mohabbat se bhi ai jaanan sanwar aahista aahista
tera badmast pariyon sa sarapa aaj dekha to
hui nabz-e-nafas zer-o-zabar aahista aahista
wo kitne pahron mein aur bandishon mein ho magar us tak
pahunch jaega mera nama-bar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.