ujDe hue logon ka pata den to kise den
ujḌe hue logoñ kā pata deñ to kise deñ
vīrān jazīre se sadā deñ to kise deñ
vo apnī ḳhamoshī kā sabab kis ko batā.eñ
ham apnī udāsī kā sila deñ to kise deñ
yādoñ se bharī shaam kareñ kis ke havāle
ḳhvāboñ sī bujhī raat batā deñ to kise deñ
har samt hī phailī hai yahāñ tishna-dahānī
do buuñd samundar hai bhalā deñ to kise deñ
har koī parastār hai sūraj kā yahāñ to
aise meñ charāġhoñ kī ziyā deñ to kise deñ
ujDe hue logon ka pata den to kise den
viran jazire se sada den to kise den
wo apni KHamoshi ka sabab kis ko bataen
hum apni udasi ka sila den to kise den
yaadon se bhari sham karen kis ke hawale
KHwabon si bujhi raat bata den to kise den
har samt hi phaili hai yahan tishna-dahani
do bund samundar hai bhala den to kise den
har koi parastar hai suraj ka yahan to
aise mein charaghon ki ziya den to kise den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.