ujlat ko iKHtiyar na kar intizar kar
ujlat ko iḳhtiyār na kar intizār kar
ḳhud par junūñ savār na kar intizār kar
ye iztirār zof-e-junūñ kī dalīl hai
yuuñ ḳhud ko be-qarār na kar intizār kar
maanā ki shahr-e-dil kī fasīloñ meñ chhed haiñ
qaa.em abhī hisār na kar intizār kar
beTā ye umr taab talab kāTne kī hai
is kam-sinī meñ pyaar na kar intizār kar
mumkin hai shaiḳh-e-jāñ kī tajallī fareb ho
duniyā-o-dīñ nisār na kar intizār kar
hoñge zarūr ḳhatm ye dardoñ ke silsile
dariyā-e-sabr paar na kar intizār kar
razm-e-vafā meñ sah ke dikhā tīr-e-tanz ko
teġh-e-zabāñ se vaar na kar intizār kar
kah kah ke baar baar judā.ī kī baat ko
tū aur pā.edār na kar intizār kar
dasht-e-junūñ abhī hai ġhubār-e-havās meñ
yuuñ shutur be-mahār na kar intizār kar
'āzād' ho ga.e haiñ asīrān-e-rāstī
ab dil kā e.atibār na kar intizār kar
ujlat ko iKHtiyar na kar intizar kar
KHud par junun sawar na kar intizar kar
ye iztirar zof-e-junun ki dalil hai
yun KHud ko be-qarar na kar intizar kar
mana ki shahr-e-dil ki fasilon mein chhed hain
qaem abhi hisar na kar intizar kar
beTa ye umr tab talab kaTne ki hai
is kam-sini mein pyar na kar intizar kar
mumkin hai shaiKH-e-jaan ki tajalli fareb ho
duniya-o-din nisar na kar intizar kar
honge zarur KHatm ye dardon ke silsile
dariya-e-sabr par na kar intizar kar
razm-e-wafa mein sah ke dikha tir-e-tanz ko
tegh-e-zaban se war na kar intizar kar
kah kah ke bar bar judai ki baat ko
tu aur paedar na kar intizar kar
dasht-e-junun abhi hai ghubar-e-hawas mein
yun shutur be-mahaar na kar intizar kar
'azad' ho gae hain asiran-e-rasti
ab dil ka eatibar na kar intizar kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.