ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin
ujle paroñ meñ kaun chhupā hai patā nahīñ
māthe pe to kisī ke farebī likhā nahīñ
galiyoñ meñ koī aa ke phir ik baar chīḳh jaa.e
muddat se saare shahr meñ koī sadā nahīñ
kajlā gayā hai kitne hī qadmoñ tale magar
ye rāsta ajiib hai kuchh boltā nahīñ
bhaTkā kiyā meñ zard haqārat ke shahr meñ
niilī hadoñ ke paar vo lekin milā nahīñ
har saaz par ubharne lage bebasī ke giit
aao ki raqs ke liye mausam burā nahīñ
kāġhaz pe us kā naam likho aur kaaT do
vo shaḳhs bhī to ab hameñ pahchāntā nahīñ
ujle paron mein kaun chhupa hai pata nahin
mathe pe to kisi ke farebi likha nahin
galiyon mein koi aa ke phir ek bar chiKH jae
muddat se sare shahr mein koi sada nahin
kajla gaya hai kitne hi qadmon tale magar
ye rasta ajib hai kuchh bolta nahin
bhaTka kiya mein zard haqarat ke shahr mein
nili hadon ke par wo lekin mila nahin
har saz par ubharne lage bebasi ke git
aao ki raqs ke liye mausam bura nahin
kaghaz pe us ka nam likho aur kaT do
wo shaKHs bhi to ab hamein pahchanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.