ukero na sine mein bachpan se mustaqbil aur kaamyabi ka Dar dil banao
ukero na sine mein bachpan se mustaqbil aur kaamyabi ka Dar dil banao
Anant Gupta
MORE BYAnant Gupta
ukero na siine meñ bachpan se mustaqbil aur kāmyābī kā Dar dil banāo
kisī dhuul khātī huī car ke kāñch par uñgliyāñ pher kar dil banāo
kabhī lauT aao jo shahr-e-tamannā meñ to mujh pe itnā sā ehsān karnā
yahāñ tiir pahle se maujūd hai jo use toḌnā mat agar dil banāo
taḳhat mez kursī chamakte haiñ kārī-garoñ ke lahū aur pasīne se ghar meñ
numā.ish hī karnī hai vahshat kī to chhīl kar kyoñ na jism-e-shajar dil banāo
buzurgoñ ne jo bhī kiyā hai use bhūlnā mat kabhī imtihānoñ meñ bachcho
kitāboñ meñ naqshe pe kitne bhī border hoñ tum copiyoñ meñ magar dil banāo
jo ḳhauf-e-nazar hai zamāne ke dil meñ vo baḌhtī huī dūriyoñ kā sabab hai
haTā do sabhī apne apne gharoñ se nazar-baTTū aur dar-ba-dar dil banāo
agar chāhte ho Thikāne lagānā bhaTakte hue āshiqoñ ko yakāyak
shab-e-hijr meñ ek udāsīn tālāb par chāñdnī se qamar dil banāo
'anant' ujlat-e-rā.egānī ke maare badalte rahe haiñ nasha umr-bhar se
davāoñ ke nāmoñ ko chhoḌo tum āshiq ke parche pe bas doctor dil banāo
ukero na sine mein bachpan se mustaqbil aur kaamyabi ka Dar dil banao
kisi dhul khati hui car ke kanch par ungliyan pher kar dil banao
kabhi lauT aao jo shahr-e-tamanna mein to mujh pe itna sa ehsan karna
yahan tir pahle se maujud hai jo use toDna mat agar dil banao
taKHat mez kursi chamakte hain kari-garon ke lahu aur pasine se ghar mein
numaish hi karni hai wahshat ki to chhil kar kyon na jism-e-shajar dil banao
buzurgon ne jo bhi kiya hai use bhulna mat kabhi imtihanon mein bachcho
kitabon mein naqshe pe kitne bhi border hon tum copiyon mein magar dil banao
jo KHauf-e-nazar hai zamane ke dil mein wo baDhti hui duriyon ka sabab hai
haTa do sabhi apne apne gharon se nazar-baTTu aur dar-ba-dar dil banao
agar chahte ho Thikane lagana bhaTakte hue aashiqon ko yakayak
shab-e-hijr mein ek udasin talab par chandni se qamar dil banao
'anant' ujlat-e-raegani ke mare badalte rahe hain nasha umr-bhar se
dawaon ke namon ko chhoDo tum aashiq ke parche pe bas doctor dil banao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.