ukhaDti sans ki antim pukar ho jaun
ukhaḌtī saañs kī antim pukār ho jā.ūñ
zamīñ pe ḳhuuñ na gire uñgliyāñ bhigo jā.ūñ
havā.eñ DhūñD rahī haiñ kise chahār taraf
maiñ kis dishā meñ chalūñ kis dayār ko jā.ūñ
ye lamha lamha manāzir kī titliyāñ uḌ kar
chalī na jaa.eñ kahīñ yuuñ ki maiñ bhī kho jā.ūñ
akele rah ke bhī qīmat na lag sakī us kī
to ab ye buuñd samandar meñ hī Dubo jā.ūñ
tū phuul hai na guhar kis tarah sajā.ūñ tujhe
har ek saañs meñ dhaḌkan tirī piro jā.ūñ
bulā rahī hai mujhe merī ḳhaak apnī taraf
maiñ apne aap se niklūñ tamām ho jā.ūñ
bichhī huī hai zamīñ mere vāste 'nashtar'
yahīñ kahīñ isī miTTī kā ang ho jā.ūñ
ukhaDti sans ki antim pukar ho jaun
zamin pe KHun na gire ungliyan bhigo jaun
hawaen DhunD rahi hain kise chahaar taraf
main kis disha mein chalun kis dayar ko jaun
ye lamha lamha manazir ki titliyan uD kar
chali na jaen kahin yun ki main bhi kho jaun
akele rah ke bhi qimat na lag saki us ki
to ab ye bund samandar mein hi Dubo jaun
tu phul hai na guhar kis tarah sajaun tujhe
har ek sans mein dhaDkan teri piro jaun
bula rahi hai mujhe meri KHak apni taraf
main apne aap se niklun tamam ho jaun
bichhi hui hai zamin mere waste 'nashtar'
yahin kahin isi miTTi ka ang ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.