uktaya hun is muft ke saman-e-safar se
uktāyā huuñ is muft ke sāmān-e-safar se
ye bojh hī aisā hai utartā nahīñ sar se
ik umr guzārī hai tire shahr meñ lekin
āñkheñ nahīñ kholīñ kabhī zulmāt ke Dar se
is baar bichhaḌ jaanā hai jaise kabhī patte
gir jaa.eñ to milte nahīñ dobāra shajar se
thak-hār ke ruk jā.egī ye vaqt kī gardish
jis roz zamīñ niklegī sūraj ke asar se
sikke jo nikāle mire kashkol se us ne
āñkheñ bhī nikālī haiñ mire kāsa-e-sar se
vo chāñd bhī is chāñd kī taqlīd meñ aksar
kuchh duur Thahar jaatā hai aa kar mire ghar se
'mas.ūd' mirī zaat ko mahfūz kiyā hai
is shor-sharābe ne kisī ḳhvāb ke Dar se
uktaya hun is muft ke saman-e-safar se
ye bojh hi aisa hai utarta nahin sar se
ek umr guzari hai tere shahr mein lekin
aankhen nahin kholin kabhi zulmat ke Dar se
is bar bichhaD jaana hai jaise kabhi patte
gir jaen to milte nahin dobara shajar se
thak-haar ke ruk jaegi ye waqt ki gardish
jis roz zamin niklegi suraj ke asar se
sikke jo nikale mere kashkol se us ne
aankhen bhi nikali hain mere kasa-e-sar se
wo chand bhi is chand ki taqlid mein aksar
kuchh dur Thahar jata hai aa kar mere ghar se
'masud' meri zat ko mahfuz kiya hai
is shor-sharabe ne kisi KHwab ke Dar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.