ulajh kar KHud mein hi ek din ye dhaga Tut jaega
ulajh kar ḳhud meñ hī ik din ye dhāgā Tuut jā.egā
zabardastī nibhāne se bhī rishta Tuut jā.egā
huā kyā thā hamāre saath kahne meñ hai jokhim ye
batāte vaqt phir se dil dubāra Tuut jā.egā
pareshāñ ġham se ho kar ḳhud-kushī hogī kisī kī aur
kabhī ġham ḳhud-kushī kar leñge itnā Tuut jā.egā
na.e kirdār kī ho ibtidā bas is liye ik din
ki shāḳh-e-zindagī se koī pattā Tuut jā.egā
hazāroñ dil haiñ be-rahmī se toḌe jis se ai qismat
hamāre dil se mil kar vo hathauḌā TuuT jā.egā
ulajh kar KHud mein hi ek din ye dhaga Tut jaega
zabardasti nibhane se bhi rishta Tut jaega
hua kya tha hamare sath kahne mein hai jokhim ye
batate waqt phir se dil dubara Tut jaega
pareshan gham se ho kar KHud-kushi hogi kisi ki aur
kabhi gham KHud-kushi kar lenge itna Tut jaega
nae kirdar ki ho ibtida bas is liye ek din
ki shaKH-e-zindagi se koi patta Tut jaega
hazaron dil hain be-rahmi se toDe jis se ai qismat
hamare dil se mil kar wo hathauDa TuT jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.