ulajhte rahte hain jaane kyon bar-bar mujhse
ulajhte rahte haiñ jaane kyoñ bār-bār mujh se
yahāñ pe kuchh log haiñ jo jalte haiñ yaar mujh se
maiñ ek din khul ke bol baiThā thā āḳhirat par
bigaḌ ga.e us ke baad sab duniyā-dār mujh se
ajiib dukh hai maiñ aaj us meñ khaTak rahā huuñ
jo aañkh dekhī nahīñ ga.ī ashk-bār mujh se
palaT ke aa jā ki baat bas meñ nahīñ rahī ab
sañbhal nahīñ pā rahā dil-e-be-qarār mujh se
ye sab tufail-e-ġham-e-shab-e-hijr hai mirī jaañ
jo sher hone lagā hai ab shāndār mujh se
huā kuchh aise ki maiñ buḌhāpe ko aan pahuñchā
phir is se aage huā nahīñ intizār mujh se
kisī kī bātoñ meñ aa gayā hai vo shaḳhs 'mehdī'
vagarna chāhat to thī use be-shumār mujh se
ulajhte rahte hain jaane kyon bar-bar mujh se
yahan pe kuchh log hain jo jalte hain yar mujh se
main ek din khul ke bol baiTha tha aaKHirat par
bigaD gae us ke baad sab duniya-dar mujh se
ajib dukh hai main aaj us mein khaTak raha hun
jo aankh dekhi nahin gai ashk-bar mujh se
palaT ke aa ja ki baat bas mein nahin rahi ab
sanbhal nahin pa raha dil-e-be-qarar mujh se
ye sab tufail-e-gham-e-shab-e-hijr hai meri jaan
jo sher hone laga hai ab shandar mujh se
hua kuchh aise ki main buDhape ko aan pahuncha
phir is se aage hua nahin intizar mujh se
kisi ki baaton mein aa gaya hai wo shaKHs 'mehdi'
wagarna chahat to thi use be-shumar mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.