ulajhti haari nigahon ka ham-rikab to tha
ulajhtī haarī nigāhoñ kā ham-rikāb to thā
hazār TuuTā huā thā vo ek ḳhvāb to thā
maiñ un se kahtā thā ik din bichhaḌ hī jā.eñge ham
so sūjhtā hameñ pahle se kuchh hisāb to thā
ab is pe koī na manzil na koī dost sahī
magar ye rāsta hī merā intiḳhāb to thā
yahāñ pe maut sā aa kar hamārā paḌ rahnā
ḳhilāf-e-zindagī hī ek irtikāb to thā
usī kī zau hī se raushan the rāt-din mere
vo daur bhī mirā mahtāb-o-āftāb to thā
kasā huā ajab ik raah par rahā jīvan
ki saḳht sach mirā mujh par ik ehtisāb to thā
kuchal rakhā thā mujhe jis ne mere andar meñ
vo bāhar aan mirī merī taab naab to thā
vafā kā ranj bhī kuchh us meñ thā magar dil kā
do laḳht hotā bhī ik zindagī kā baab to thā
vo jis ne mujh ko nayā aadmī kiyā 'kāvish'
nazar na aaya magar ek inqalāb to thā
ulajhti haari nigahon ka ham-rikab to tha
hazar TuTa hua tha wo ek KHwab to tha
main un se kahta tha ek din bichhaD hi jaenge hum
so sujhta hamein pahle se kuchh hisab to tha
ab is pe koi na manzil na koi dost sahi
magar ye rasta hi mera intiKHab to tha
yahan pe maut sa aa kar hamara paD rahna
KHilaf-e-zindagi hi ek irtikab to tha
usi ki zau hi se raushan the raat-din mere
wo daur bhi mera mahtab-o-aftab to tha
kasa hua ajab ek rah par raha jiwan
ki saKHt sach mera mujh par ek ehtisab to tha
kuchal rakha tha mujhe jis ne mere andar mein
wo bahar aan meri meri tab nab to tha
wafa ka ranj bhi kuchh us mein tha magar dil ka
do laKHt hota bhi ek zindagi ka bab to tha
wo jis ne mujh ko naya aadmi kiya 'kawish'
nazar na aaya magar ek inqalab to tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.