ulfat ki agar rudad suno to mera fasana kafi hai
ulfat ki agar rudad suno to mera fasana kafi hai
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
ulfat kī agar rūdād suno to merā fasāna kaafī hai
haañ zikr-e-jafā-e-dost nahīñ bedād-e-zamāna kaafī hai
ham se thā ibārat ḳhanda-e-gul har baat pe aa jaatī thī hañsī
ab azmat-e-girya ham se hai rone ko bahāna kaafī hai
is daur-e-junūñ meñ apnā pata ham is ke sivā kyā samjhā.eñ
ik naqsh-e-qadam sajdoñ ke nishāñ bas itnā Thikāna kaafī hai
pahuñchā ki nahīñ us tak koī is kī to koī tahqīq nahīñ
ham sū-e-harīm-e-dost agar ho jaa.eñ ravāna kaafī hai
duniyā ko bhalā ham kyā deñge ḳhud dast-nigar haiñ ham un ke
kuchh un pe tasadduq karnā ho to ġham kā ḳhazāna kaafī hai
bas ham to mohabbat karte haiñ ham hamd-o-sanā ko kyā samjheñ
sunte haiñ rijhāne ko un ke ulfat kā tarāna kaafī hai
begāna huā har shaḳhs yahāñ ham jis ko 'shifā' apnā samjhe
ab us kā dāman thaam liyā bas vo hī yagāna kaafī hai
ulfat ki agar rudad suno to mera fasana kafi hai
han zikr-e-jafa-e-dost nahin bedad-e-zamana kafi hai
hum se tha ibarat KHanda-e-gul har baat pe aa jati thi hansi
ab azmat-e-girya hum se hai rone ko bahana kafi hai
is daur-e-junun mein apna pata hum is ke siwa kya samjhaen
ek naqsh-e-qadam sajdon ke nishan bas itna Thikana kafi hai
pahuncha ki nahin us tak koi is ki to koi tahqiq nahin
hum su-e-harim-e-dost agar ho jaen rawana kafi hai
duniya ko bhala hum kya denge KHud dast-nigar hain hum un ke
kuchh un pe tasadduq karna ho to gham ka KHazana kafi hai
bas hum to mohabbat karte hain hum hamd-o-sana ko kya samjhen
sunte hain rijhane ko un ke ulfat ka tarana kafi hai
begana hua har shaKHs yahan hum jis ko 'shifa' apna samjhe
ab us ka daman tham liya bas wo hi yagana kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.