Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat ki choT aah-o-fughan siskiyan tamam

Moin Ahmed Aazad

ulfat ki choT aah-o-fughan siskiyan tamam

Moin Ahmed Aazad

MORE BYMoin Ahmed Aazad

    ulfat choT āh-o-fuġhāñ siskiyāñ tamām

    vo mere naam kar ga.e bechainiyāñ tamām

    zehn-o-jigar meñ jab bhī machalte haiñ zalzale

    tang aa ke chīḳh paḌtīñ haiñ ḳhāmoshiyāñ tamām

    rakkheñge kab talak mujhe yūñhī qatār meñ

    sun lījiye huzūr mirī arziyāñ tamām

    nafrat ko apne qalb se bāhar nikāliye

    dariyā meñ pheñk ā.īye ye barchhiyāñ tamām

    phūloñ meñ terā rang havāoñ meñ hai mahak

    jalvoñ meñ tere jazb haiñ ra.anā.iyāñ tamām

    shāyad abhī bhī aap ko fursat nahīñ milī

    rakkhī haiñ tāqche pe merī chiTThiyāñ tamām

    maiñ ne jo ik shajar hifāzat sañbhāl

    mere samt ho ga.iiñ phir āñdhiyāñ tamām

    ik ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ 'āzād' roz-o-shab

    mahfūz hai vatan mire beTiyāñ tamām

    ulfat ki choT aah-o-fughan siskiyan tamam

    wo mere nam kar gae bechainiyan tamam

    zehn-o-jigar mein jab bhi machalte hain zalzale

    tang aa ke chiKH paDtin hain KHamoshiyan tamam

    rakkhenge kab talak mujhe yunhi qatar mein

    sun lijiye huzur meri arziyan tamam

    nafrat ko apne qalb se bahar nikaliye

    dariya mein phenk aaiye ye barchhiyan tamam

    phulon mein tera rang hawaon mein hai mahak

    jalwon mein tere jazb hain ranaiyan tamam

    shayad abhi bhi aap ko fursat nahin mili

    rakkhi hain taqche pe meri chiTThiyan tamam

    main ne jo ek shajar ki hifazat sanbhaal li

    mere hi samt ho gain phir aandhiyan tamam

    ek KHwab dekhta hun main 'azad' roz-o-shab

    mahfuz hai watan ki mere beTiyan tamam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now