ulfat ki jo kitab the wo log mar gae
ulfat kī jo kitāb the vo log mar ga.e
mehr-o-vafā kā baab the vo log mar ga.e
jin par tamām thī mirī be-nām sī hayāt
chāhat kā jo hisāb the vo log mar ga.e
lākhoñ savāl ab mirī muTThī meñ qaid haiñ
in sab ke jo javāb the vo log mar ga.e
ab to havā meñ aisī ghuTan hai ki yaar bas
ḳhushbū the jo gulāb the vo log mar ga.e
jin kī chamak se zindagī meñ raushnī huī
sūraj the māhtāb the vo log mar ga.e
vo jin kā lafz lafz bhī āñkhoñ kā rizq thā
suljhī huī kitāb the vo log mar ga.e
dil kī ḳhushī bhī un ke tavassut se thī mirī
dil kā jo iztirāb the vo log mar ga.e
ulfat ki jo kitab the wo log mar gae
mehr-o-wafa ka bab the wo log mar gae
jin par tamam thi meri be-nam si hayat
chahat ka jo hisab the wo log mar gae
lakhon sawal ab meri muTThi mein qaid hain
in sab ke jo jawab the wo log mar gae
ab to hawa mein aisi ghuTan hai ki yar bas
KHushbu the jo gulab the wo log mar gae
jin ki chamak se zindagi mein raushni hui
suraj the mahtab the wo log mar gae
wo jin ka lafz lafz bhi aankhon ka rizq tha
suljhi hui kitab the wo log mar gae
dil ki KHushi bhi un ke tawassut se thi meri
dil ka jo iztirab the wo log mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.