ulfat mein ayan soz-e-butan ho nahin sakta
ulfat meñ ayaañ soz-e-butāñ ho nahīñ saktā
ye aag hai aisī ki dhuāñ ho nahīñ saktā
kyā pārā-e-dil koī zabāñ ho nahīñ saktā
kyā uḌ ke lahū rañg-e-fuġhāñ ho nahīñ saktā
o jalva-gah-e-tūr ke khul-khelne vaale
kyā dil koī ḳhalvat kā makāñ ho nahīñ saktā
mujh ko hai lab-e-jām-e-shikasta bhī mah-e-īd
saaqī ye hilāl-e-ramazāñ ho nahīñ saktā
joban se hai maskī huī mahram kā ishāra
ye din vo haiñ koī nigarāñ ho nahīñ saktā
jaane meñ vahāñ āñdhī hai ai āh-e-rasā tū
kyā ashk-e-ravāñ sail-e-ravāñ ho nahīñ saktā
din aur jagah aur ho ai dāvar-e-mahshar
insāf hasīnoñ kā yahāñ ho nahīñ saktā
dīvāna-e-lailā ko na lailā se rahā kaam
kuchh aur balā hai ḳhafaqāñ ho nahīñ saktā
jo daam uTheñ husn-e-javānī ke vo kam haiñ
saudā ye kisī tarah garāñ ho nahīñ saktā
but-ḳhāne banā karte haiñ kis tarah masājid
jab naġhma-e-nāqūs azaañ ho nahīñ saktā
dīvānoñ kā andāz uḌāte haiñ anādil
dīvāne meñ ye rañg-e-fuġhāñ ho nahīñ saktā
ye jaan ko merī hai azaab āTh-pahr kā
dil sā bhī koī āfat-e-jāñ ho nahīñ saktā
haiñ pīrī-o-tiflī-o-javānī ke maze aur
duniyā sā koī aur jahāñ ho nahīñ saktā
badle hue haiñ charḳh ke sab chāñd-sitāre
vo vasl kī rāteñ vo samāñ ho nahīñ saktā
banñe ko 'riyāz' aap baneñ kohkan-o-qais
haiñ sāḳhta bāteñ ḳhafaqāñ ho nahīñ saktā
ulfat mein ayan soz-e-butan ho nahin sakta
ye aag hai aisi ki dhuan ho nahin sakta
kya para-e-dil koi zaban ho nahin sakta
kya uD ke lahu rang-e-fughan ho nahin sakta
o jalwa-gah-e-tur ke khul-khelne wale
kya dil koi KHalwat ka makan ho nahin sakta
mujh ko hai lab-e-jam-e-shikasta bhi mah-e-id
saqi ye hilal-e-ramazan ho nahin sakta
joban se hai maski hui mahram ka ishaara
ye din wo hain koi nigaran ho nahin sakta
jaane mein wahan aandhi hai ai aah-e-rasa tu
kya ashk-e-rawan sail-e-rawan ho nahin sakta
din aur jagah aur ho ai dawar-e-mahshar
insaf hasinon ka yahan ho nahin sakta
diwana-e-laila ko na laila se raha kaam
kuchh aur bala hai KHafaqan ho nahin sakta
jo dam uThen husn-e-jawani ke wo kam hain
sauda ye kisi tarah garan ho nahin sakta
but-KHane bana karte hain kis tarah masajid
jab naghma-e-naqus azan ho nahin sakta
diwanon ka andaz uDate hain anadil
diwane mein ye rang-e-fughan ho nahin sakta
ye jaan ko meri hai azab aaTh-pahr ka
dil sa bhi koi aafat-e-jaan ho nahin sakta
hain piri-o-tifli-o-jawani ke maze aur
duniya sa koi aur jahan ho nahin sakta
badle hue hain charKH ke sab chand-sitare
wo wasl ki raaten wo saman ho nahin sakta
banne ko 'riyaz' aap banen kohkan-o-qais
hain saKHta baaten KHafaqan ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.