ulfat mujhe na do ye wafaen mujhe na do
ulfat mujhe na do ye vafā.eñ mujhe na do
nā-karda jurm kī to sazā.eñ mujhe na do
maiñ so gayā huuñ vaqt kī chādar ko taan kar
maazī ke dhuñdlakoñ se sadā.eñ mujhe na do
ḳhākistar-e-hayāt meñ chingāriyāñ kahāñ
dāman se apne tez havā.eñ mujhe na do
maiñ apnī guuñj hī meñ giraftār huuñ abhī
ab aur paas aa ke sadā.eñ mujhe na do
tūl-e-shab-e-firāq ne patthar banā diyā
tum ab to zindagī kī duā.eñ mujhe na do
ulfat mujhe na do ye wafaen mujhe na do
na-karda jurm ki to sazaen mujhe na do
main so gaya hun waqt ki chadar ko tan kar
mazi ke dhundlakon se sadaen mujhe na do
KHakistar-e-hayat mein chingariyan kahan
daman se apne tez hawaen mujhe na do
main apni gunj hi mein giraftar hun abhi
ab aur pas aa ke sadaen mujhe na do
tul-e-shab-e-firaq ne patthar bana diya
tum ab to zindagi ki duaen mujhe na do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.