ulfaton ke saghar mein sazishen milate hain
ulfatoñ ke sāġhar meñ sāzisheñ milāte haiñ
dostī ke parde meñ dushmanī nibhāte haiñ
ḳhaak kar ke baiThe haiñ āshiyāñ hamīñ apnā
bijliyāñ dikhā kar yuuñ aap kyā Darāte haiñ
shaam tere māthe pe raat yuuñ ibādat hai
jugnū bhī chamakte haiñ taare jhilmilāte haiñ
koī jaane vaale ko kis tarah ye samjhā.e
vāpsī meñ din itne aap kyoñ lagāte haiñ
shor sun ke bārish kā dil machal sā jaatā hai
bhīge bhīge phūloñ se ham lajā se jaate haiñ
fikr bhī hai jazba bhī rañj bhī ḳhushī bhī hai
shā.irī nahīñ ham to hāl-e-dil sunāte haiñ
mushkiloñ se sīkhā hai ham ne ye hunar 'amabar'
rāste judā apne kis tarah banāte haiñ
ulfaton ke saghar mein sazishen milate hain
dosti ke parde mein dushmani nibhate hain
KHak kar ke baiThe hain aashiyan hamin apna
bijliyan dikha kar yun aap kya Daraate hain
sham tere mathe pe raat yun ibaadat hai
jugnu bhi chamakte hain tare jhilmilate hain
koi jaane wale ko kis tarah ye samjhae
wapsi mein din itne aap kyon lagate hain
shor sun ke barish ka dil machal sa jata hai
bhige bhige phulon se hum laja se jate hain
fikr bhi hai jazba bhi ranj bhi KHushi bhi hai
shairi nahin hum to haal-e-dil sunate hain
mushkilon se sikha hai hum ne ye hunar 'amabar'
raste juda apne kis tarah banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.