uljha na mere aaj ka daman kabhi kal se
uljhā na mire aaj kā dāman kabhī kal se
māñgī na mire dil ne madad tūl-e-‘amal se
un kī nigah-e-mast hai labrez-e-ma'ānī
miltī huī tāsīr meñ 'hāfiz' kī ġhazal se
idrāk ne āñkheñ shab-e-auhām meñ kholīñ
vāqif na huā raushnī-e-sub.h-e-azal se
darja mutahayyar kā hai be-ḳhud se firotar
hai ruuh ko ummīd taraqqī kī ajal se
bahs-e-kuhan-o-nau maiñ samajhtā nahīñ 'akbar'
jo zarra hai maujūd hai vo roz-e-azal se
uljha na mere aaj ka daman kabhi kal se
mangi na mere dil ne madad tul-e-‘amal se
un ki nigah-e-mast hai labrez-e-ma'ani
milti hui tasir mein 'hafiz' ki ghazal se
idrak ne aankhen shab-e-auham mein kholin
waqif na hua raushni-e-subh-e-azal se
darja mutahayyar ka hai be-KHud se firotar
hai ruh ko ummid taraqqi ki ajal se
bahs-e-kuhan-o-nau main samajhta nahin 'akbar'
jo zarra hai maujud hai wo roz-e-azal se
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 57)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.