uljha rahta hun aksar andeshon mein
uljhā rahtā huuñ aksar andeshoñ meñ
naam likhā hai merā bhī darveshoñ meñ
ghar jā kar bhī āḳhir kyā milnā hai mujhe
kyoñ uljhūñ ulTe sīdhe updeshoñ meñ
patthar ab bhī jhuk ke salāmī dete haiñ
dhaar nahīñ baaqī hai yaaro teshoñ meñ
vaqt ne āḳhir buzdil kahlā hī Daalā
ham bhī gine jaate the kabhī nareshoñ meñ
ghar ke log duā.eñ karte rahte haiñ
maiñ phirtā rahtā huuñ desh-videshoñ meñ
saaya pīpal sā hai dam lene ko 'vaqār'
mahak nirālī sī hai ghanere keshoñ meñ
uljha rahta hun aksar andeshon mein
nam likha hai mera bhi darweshon mein
ghar ja kar bhi aaKHir kya milna hai mujhe
kyon uljhun ulTe sidhe updeshon mein
patthar ab bhi jhuk ke salami dete hain
dhaar nahin baqi hai yaro teshon mein
waqt ne aaKHir buzdil kahla hi Dala
hum bhi gine jate the kabhi nareshon mein
ghar ke log duaen karte rahte hain
main phirta rahta hun desh-wideshon mein
saya pipal sa hai dam lene ko 'waqar'
mahak nirali si hai ghanere keshon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.