uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main
uljhan meñ hast-o-būd kī yuuñ mubtalā huuñ maiñ
ḳhud apnā aks huuñ ki tirā aa.ina huuñ maiñ
mujh ko kiyā hai lā.iq-e-sajda isī liye
ajzā-e-kā.enāt meñ sab se judā huuñ maiñ
tū ek hai magar haiñ tire an-ginat majāz
har aa.ine meñ tere numāyāñ huā huuñ maiñ
tishna-labī meñ zabt ho aur vo bhī us ghaḌī
jab ittifāq se lab-e-dariyā khaḌā huuñ maiñ
mānind-e-kahkashāñ ye miTātī hai tīrgī
paḌh kar kitāb-e-ishq ko raushan huā huuñ maiñ
āsūdgī ko chhoḌ vo hāsil rahī mujhe
lekin mohabbatoñ ko tarastā rahā huuñ maiñ
dariyā sifat bhī ho ke na sairāb kar sakā
barse binā jo chhaT ga.ī aisī ghaTā huuñ maiñ
dast-e-jafā se jis ke ye vahshat mujhe milī
us ko bhī hai gila ki darinda-numā huuñ maiñ
tanhā.ī meñ ik ālam-e-imkāñ basā liyā
'ādil' yuuñ apne aap meñ kuchh DhūñDhtā huuñ maiñ
uljhan mein hast-o-bud ki yun mubtala hun main
KHud apna aks hun ki tera aaina hun main
mujh ko kiya hai laiq-e-sajda isi liye
ajza-e-kaenat mein sab se juda hun main
tu ek hai magar hain tere an-ginat majaz
har aaine mein tere numayan hua hun main
tishna-labi mein zabt ho aur wo bhi us ghaDi
jab ittifaq se lab-e-dariya khaDa hun main
manind-e-kahkashan ye miTati hai tirgi
paDh kar kitab-e-ishq ko raushan hua hun main
aasudgi ko chhoD wo hasil rahi mujhe
lekin mohabbaton ko tarasta raha hun main
dariya sifat bhi ho ke na sairab kar saka
barse bina jo chhaT gai aisi ghaTa hun main
dast-e-jafa se jis ke ye wahshat mujhe mili
us ko bhi hai gila ki darinda-numa hun main
tanhai mein ek aalam-e-imkan basa liya
'adil' yun apne aap mein kuchh DhunDhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.