uljhanen aur baDhate kyon ho
uljhaneñ aur baḌhāte kyoñ ho
mujh ko har baat batāte kyoñ ho
maiñ ġhalat logoñ meñ ghir jaatā huuñ
tum mujhe chhoḌ ke jaate kyoñ ho
din mirā kaaTe nahīñ kaTtā phir
tum zarā der ko aate kyoñ ho
maiñ nahīñ haath lagāne vaalā
is qadar ḳhud ko bachāte kyoñ ho
ye bhī taskīn kī sūrat hai koī
us ke ḳhat sab ko dikhāte kyoñ ho
vādī-e-gul se guzarte jaao
haath phūloñ ko lagāte kyoñ ho
mujh pe raushan hai haqīqat 'nazmī'
roz ik ḳhvāb sunāte kyoñ ho
uljhanen aur baDhate kyon ho
mujh ko har baat batate kyon ho
main ghalat logon mein ghir jata hun
tum mujhe chhoD ke jate kyon ho
din mera kaTe nahin kaTta phir
tum zara der ko aate kyon ho
main nahin hath lagane wala
is qadar KHud ko bachate kyon ho
ye bhi taskin ki surat hai koi
us ke KHat sab ko dikhate kyon ho
wadi-e-gul se guzarte jao
hath phulon ko lagate kyon ho
mujh pe raushan hai haqiqat 'nazmi'
roz ek KHwab sunate kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.