uljhanon par uljhanen KHaljaan hai KHaljaan par
uljhanoñ par uljhaneñ ḳhaljān hai ḳhaljān par
aah kitnī āfateñ haiñ hazrat-e-insān par
kaam phir kartī nahīñ hai mantiq-o-tadbīr kuchh
parda jab paḌ jaa.e terī aql kī shiryān par
dil adāvat se bhare haiñ par zabāñ shīrīñ-suḳhan
is liye kuḌhtā hai dil iḳhlās ke fuqdān par
dhuul saarī umr phir vo chāTtā phirtā rahe
mo'tariz ho jaa.e jab insān hī vijdān par
ġhasb kar jaate haiñ aksar haq kisī ma.asūm kā
log miTTī Dālte haiñ is tarah īmān par
haal meñ rah kar bhī rishta rakhte haiñ maazī ke saath
rashk āshiq is qadar karte haiñ har nuqsān par
kyoñ basārat kī zamīñ banjar kī banjar rah ga.ī
dukh hai terī zaat par tuf hai tirī pahchān par
parbatoñ par bhī agar rakh do to jhuk jā.eñge vo
aise aise dard bhī jhele haiñ ham ne jaan par
aaj 'ushba' log merī baat kyoñ sunte nahīñ
ḳhud ko kosūñ yā ki ro.uuñ aise kaj-az.hān par
uljhanon par uljhanen KHaljaan hai KHaljaan par
aah kitni aafaten hain hazrat-e-insan par
kaam phir karti nahin hai mantiq-o-tadbir kuchh
parda jab paD jae teri aql ki shiryan par
dil adawat se bhare hain par zaban shirin-suKHan
is liye kuDhta hai dil iKHlas ke fuqdan par
dhul sari umr phir wo chaTta phirta rahe
mo'tariz ho jae jab insan hi wijdan par
ghasb kar jate hain aksar haq kisi masum ka
log miTTi Dalte hain is tarah iman par
haal mein rah kar bhi rishta rakhte hain mazi ke sath
rashk aashiq is qadar karte hain har nuqsan par
kyon basarat ki zamin banjar ki banjar rah gai
dukh hai teri zat par tuf hai teri pahchan par
parbaton par bhi agar rakh do to jhuk jaenge wo
aise aise dard bhi jhele hain hum ne jaan par
aaj 'ushba' log meri baat kyon sunte nahin
KHud ko kosun ya ki roun aise kaj-azhan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.