uljhe hue din khoi hui raat na hoti
uljhe hue din khoī huī raat na hotī
ai kaash mirī tum se mulāqāt na hotī
ādāb-e-vafā kā jo maiñ pāband na hotā
vallāh ki ye sūrat-e-hālāt na hotī
tum ġham kā lab-o-lahja samajh hī nahīñ paa.e
varna kabhī is darja baḌhī baat na hotī
dil khol ke tāroñ se meñ kahtā thā kahānī
hotī baḌī rusvā.ī agar raat na hotī
sab kuchh maiñ samajh baiThā tirī yaad ko varna
ujḌī huī firdaus-e-ḳhayālāt na hotī
dar-asl ḳhatā hai ye mire zauq-e-nazar kī
varna tumheñ taklīf-e-hijābāt na hotī
tujh se ġham-e-daurāñ hī bhalā ai ġham-e-jānāñ
is tarah to barbādī-e-jazbāt na hotī
kam-zarf bhī aa nikle haiñ maiḳhāne kī jānib
is se to ye achchhā thā ki barsāt na hotī
dil ġham se hai bezār magar ye jo na hotā
'jauhar' kabhī takmīl-e-kamālat na hotī
uljhe hue din khoi hui raat na hoti
ai kash meri tum se mulaqat na hoti
aadab-e-wafa ka jo main paband na hota
wallah ki ye surat-e-haalat na hoti
tum gham ka lab-o-lahja samajh hi nahin pae
warna kabhi is darja baDhi baat na hoti
dil khol ke taron se mein kahta tha kahani
hoti baDi ruswai agar raat na hoti
sab kuchh main samajh baiTha teri yaad ko warna
ujDi hui firdaus-e-KHayalat na hoti
dar-asl KHata hai ye mere zauq-e-nazar ki
warna tumhein taklif-e-hijabaat na hoti
tujh se gham-e-dauran hi bhala ai gham-e-jaanan
is tarah to barbaadi-e-jazbaat na hoti
kam-zarf bhi aa nikle hain maiKHane ki jaanib
is se to ye achchha tha ki barsat na hoti
dil gham se hai bezar magar ye jo na hota
'jauhar' kabhi takmil-e-kamalat na hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.