ulTa hi duaon ka asar dekh liya hai
ulTā hī duāoñ kā asar dekh liyā hai
ab to mirā āfāt ne ghar dekh liyā hai
ab chain kahāñ rāhat-o-ārām kahāñ kā
jannat meñ jo mamnuā shajar dekh liyā hai
bas hājat-e-ehsān nahīñ hai ki ab ham ne
jañgal meñ bayābān meñ ghar dekh liyā hai
kyā chain mile mujh ko sukūñ kyoñ ho mayassar
bechain usī chashm ko tar dekh liyā hai
vaise to koī shaḳhs bhī aiboñ se nahīñ paak
muñh band rakho phir bhī agar dekh liyā hai
phan saañp kī mānind uThāyā hai jinhoñ ne
aisoñ kā to kuchlā huā sar dekh liyā hai
bachchoñ pe luTā dī thī pasīne kī kamā.ī
'hasrat' jo milā un se samar dekh liyā hai
ulTa hi duaon ka asar dekh liya hai
ab to mera aafat ne ghar dekh liya hai
ab chain kahan rahat-o-aram kahan ka
jannat mein jo mamnua shajar dekh liya hai
bas hajat-e-ehsan nahin hai ki ab hum ne
jangal mein bayaban mein ghar dekh liya hai
kya chain mile mujh ko sukun kyon ho mayassar
bechain usi chashm ko tar dekh liya hai
waise to koi shaKHs bhi aibon se nahin pak
munh band rakho phir bhi agar dekh liya hai
phan sanp ki manind uThaya hai jinhon ne
aison ka to kuchla hua sar dekh liya hai
bachchon pe luTa di thi pasine ki kamai
'hasrat' jo mila un se samar dekh liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.