ulTi-sidhi koi KHwahish nahin karne wale
ulTī-sīdhī koī ḳhvāhish nahīñ karne vaale
tujh se milne kī sifārish nahīñ karne vaale
mat kisānoñ kī tarah aas lagāo un se
ye vo bādal haiñ jo bārish nahīñ karne vaale
ham ko ādāb-e-mohabbat kā hunar hai mā'lūm
ham mohabbat kī numā.ish nahīñ karne vaale
apne hisse kā ugā lete haiñ sūraj har shab
ham charāġhoñ se guzārish nahīñ karne vaale
fā’ilātun kā nasha jin pe chaḌhā hai ai dil
vo mere fan kī satā.ish nahīñ karne vaale
ulTi-sidhi koi KHwahish nahin karne wale
tujh se milne ki sifarish nahin karne wale
mat kisanon ki tarah aas lagao un se
ye wo baadal hain jo barish nahin karne wale
hum ko aadab-e-mohabbat ka hunar hai ma'lum
hum mohabbat ki numaish nahin karne wale
apne hisse ka uga lete hain suraj har shab
hum charaghon se guzarish nahin karne wale
fa’ilatun ka nasha jin pe chaDha hai ai dil
wo mere fan ki sataish nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.