ulul-azmi na bebaki na chanchal zindagani hai
ulul-'azmī na bebākī na chanchal zindagānī hai
tumhīñ socho ki ye koī javānī meñ javānī hai
chalāo apnī marzī par palaT do aur badal Daalo
zamāne kī vo gardish hai ki daur-e-āsmānī hai
agar hai josh sar meñ aur dil meñ jazba-e-sādiq
to phir nār-e-jahannam bhī tumhāre aage paanī hai
tabāhī par chaman kī nauha-ḳhvānī kis liye bulbul
tū jī mat chhoḌ fasl-e-gul phir aanī hai phir aanī hai
jo haiñ āzād dil ke un ko qaid aur ban barābar haiñ
ravāñ pābandī-e-sāhil pe bhī dariyā kā paanī hai
vatan ke ġham se dil meñ ho kasak aur ḳhuun āñkhoñ meñ
hamāre haq meñ kyā kam ye naved-e-shādmānī hai
zarūrat hai vatan ko tere īsār-e-mukammal kī
agar jazba tirā ḳhālis nirā hindostānī hai
sivā haq ke kisī ke aage vo jhukte nahīñ 'kaifī'
ye mardān-e-ḳhudā kī shaan ye un kī nishānī hai
ulul-'azmi na bebaki na chanchal zindagani hai
tumhin socho ki ye koi jawani mein jawani hai
chalao apni marzi par palaT do aur badal Dalo
zamane ki wo gardish hai ki daur-e-asmani hai
agar hai josh sar mein aur dil mein jazba-e-sadiq
to phir nar-e-jahannam bhi tumhaare aage pani hai
tabahi par chaman ki nauha-KHwani kis liye bulbul
tu ji mat chhoD fasl-e-gul phir aani hai phir aani hai
jo hain aazad dil ke un ko qaid aur ban barabar hain
rawan pabandi-e-sahil pe bhi dariya ka pani hai
watan ke gham se dil mein ho kasak aur KHun aankhon mein
hamare haq mein kya kam ye nawed-e-shadmani hai
zarurat hai watan ko tere isar-e-mukammal ki
agar jazba tera KHalis nira hindostani hai
siwa haq ke kisi ke aage wo jhukte nahin 'kaifi'
ye mardan-e-KHuda ki shan ye un ki nishani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.