umDe hue dilon ke wo jazbaat le gae
umDe hue diloñ ke vo jazbāt le ga.e
bādal uThe to saath meñ barsāt le ga.e
sūraj ko Dūbtā huā maiñ dekhtā rahā
dil kā sukūn vaqt ke hālāt le ga.e
aa.e the bāñTne ke liye zindagī ke ġham
dāman meñ apne ashkoñ kī ḳhairāt le ga.e
tanhā.ī apnā husn-e-muqaddar banī rahī
sahrā meñ ḳhvāhishāt kī bārāt le ga.e
andhe kueñ ke ḳhol nazar aa.e har taraf
mujh ko kahāñ kahāñ ye ḳhayālāt le ga.e
milne kī vaz.a-dārī zamāne meñ ab kahāñ
muḳhlis jo the vo rang-e-mulāqāt le ga.e
ubhre the un ke dil meñ savālāt jo 'ra.īs'
āñkhoñ se merī sab ke javābāt le ga.e
umDe hue dilon ke wo jazbaat le gae
baadal uThe to sath mein barsat le gae
suraj ko Dubta hua main dekhta raha
dil ka sukun waqt ke haalat le gae
aae the banTne ke liye zindagi ke gham
daman mein apne ashkon ki KHairaat le gae
tanhai apna husn-e-muqaddar bani rahi
sahra mein KHwahishat ki baraat le gae
andhe kuen ke KHol nazar aae har taraf
mujh ko kahan kahan ye KHayalat le gae
milne ki waza-dari zamane mein ab kahan
muKHlis jo the wo rang-e-mulaqat le gae
ubhre the un ke dil mein sawalat jo 'rais'
aankhon se meri sab ke jawabaat le gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.