umid koi nahin aasra bhi koi nahin
umiid koī nahīñ aasrā bhī koī nahīñ
davā bhī koī nahīñ ab duā bhī koī nahīñ
kuchh itne ho ga.e bezār apne haal se log
ki apne haal pe ab sochtā bhī koī nahīñ
batā.e kaun vahāñ kyā guzar ga.ī kis par
ki is dayār se aayā gayā bhī koī nahīñ
hisār-e-jāñ ke vo us paar hī to rahtā hai
faqat hai shart-e-safar fāslā bhī koī nahīñ
guzar huā jo kabhī us se mil liye varna
savāl us se kujā mudda.ā bhī koī nahīñ
mire suḳhan ne mujhe rū-shanās sab se kiyā
vagarna chehre se pahchāntā bhī koī nahīñ
hamīñ ne ḳhud pe kiye band saare dar 'mohsin'
nikalnā chāheñ to ab rāstā bhī koī nahīñ
umid koi nahin aasra bhi koi nahin
dawa bhi koi nahin ab dua bhi koi nahin
kuchh itne ho gae bezar apne haal se log
ki apne haal pe ab sochta bhi koi nahin
batae kaun wahan kya guzar gai kis par
ki is dayar se aaya gaya bhi koi nahin
hisar-e-jaan ke wo us par hi to rahta hai
faqat hai shart-e-safar fasla bhi koi nahin
guzar hua jo kabhi us se mil liye warna
sawal us se kuja muddaa bhi koi nahin
mere suKHan ne mujhe ru-shanas sab se kiya
wagarna chehre se pahchanta bhi koi nahin
hamin ne KHud pe kiye band sare dar 'mohsin'
nikalna chahen to ab rasta bhi koi nahin
- Book : Mata-e-Aakhir-e-Shab (Pg. 41)
- Author : Mohsin Zaidi
- Publication : Urdu Acadamy Delhi (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.