umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai
umīd-o-bīm ke 'ālam meñ dil dahaltā hai
vo aate aate ka.ī rāste badaltā hai
abhī to shaam hai tanqīd kar na rindoñ par
sunā hai raat ga.e mai-kada sañbhaltā hai
na koī ḳhauf na andesha aur na raḳht-e-safar
ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai
hamāre vāste jis jā pe hadd-e-fāsil hai
vahīñ se ek nayā rāsta nikaltā hai
'ajīb chiiz hai ye karb-e-ḳhud-kalāmī bhī
jo baat kiije to ik silsila nikaltā hai
na jaane kitne sar-e-pur-ġhurūr kaTte haiñ
'ajīb shaḳhs hai talvār ban ke chaltā hai
'habāb' shikva bajā laao naqd-e-jāñ ke tufail
tumhāre naam kā sikka yahāñ bhī chaltā hai
umid-o-bim ke 'alam mein dil dahalta hai
wo aate aate kai raste badalta hai
abhi to sham hai tanqid kar na rindon par
suna hai raat gae mai-kada sanbhalta hai
na koi KHauf na andesha aur na raKHt-e-safar
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
hamare waste jis ja pe hadd-e-fasil hai
wahin se ek naya rasta nikalta hai
'ajib chiz hai ye karb-e-KHud-kalami bhi
jo baat kije to ek silsila nikalta hai
na jaane kitne sar-e-pur-ghurur kaTte hain
'ajib shaKHs hai talwar ban ke chalta hai
'habab' shikwa baja lao naqd-e-jaan ke tufail
tumhaare nam ka sikka yahan bhi chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.