umid-o-bim ko hasil baqa kya
umīd-o-bīm ko hāsil baqā kyā
maiñ kyā huuñ aur merā mudda.ā kyā
barā-e-sajda jhuktī hai jabīñ kyoñ
qarīb aaya kisī kā naqsh-e-pā kyā
ye kyoñ tārīkiyāñ chhā.ī huī haiñ
umīdoñ kā diyā bhī bujh gayā kyā
hameñ to ġham azal hī se milā hai
hamīñ ham haiñ hamārā pūchhnā kyā
maiñ is tarz-e-taḳhātub ke tasadduq
vo farmāte haiñ mujh ko ho gayā kyā
mire ġham ko ḳhudā shādāb rakkhe
mujhe ahl-e-jahāñ se vāsta kyā
mazāq-e-ishq ke maare hue haiñ
hamāre ġham kā 'bāsit' pūchhnā kyā
umid-o-bim ko hasil baqa kya
main kya hun aur mera muddaa kya
bara-e-sajda jhukti hai jabin kyon
qarib aaya kisi ka naqsh-e-pa kya
ye kyon tarikiyan chhai hui hain
umidon ka diya bhi bujh gaya kya
hamein to gham azal hi se mila hai
hamin hum hain hamara puchhna kya
main is tarz-e-taKHatub ke tasadduq
wo farmate hain mujh ko ho gaya kya
mere gham ko KHuda shadab rakkhe
mujhe ahl-e-jahan se wasta kya
mazaq-e-ishq ke mare hue hain
hamare gham ka 'basit' puchhna kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.