umid-o-yas mein shab jal rahi hai
umīd-o-yās meñ shab jal rahī hai
mahaz ik saañs hai jo chal rahī hai
maiñ ā.īna khurach kar DhūñDhtā thā
ajab be-chehragī sī kal rahī hai
jise tum ālima batlā rahe ho
ye apne haal meñ pāgal rahī hai
shafaq kī zulf bikhrī āsmāñ par
vo rashk-e-jām āñkheñ mal rahī hai
mujhe āzād kar de tū duā se
mujhe ye dīn-dārī khal rahī hai
hai vīrāna bapā dil-anjuman meñ
jahāñ terī ġharaz avval rahī hai
umid-o-yas mein shab jal rahi hai
mahaz ek sans hai jo chal rahi hai
main aaina khurach kar DhunDhta tha
ajab be-chehragi si kal rahi hai
jise tum aalima batla rahe ho
ye apne haal mein pagal rahi hai
shafaq ki zulf bikhri aasman par
wo rashk-e-jam aankhen mal rahi hai
mujhe aazad kar de tu dua se
mujhe ye din-dari khal rahi hai
hai virana bapa dil-anjuman mein
jahan teri gharaz awwal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.