umid se tha tasawwur umid hi na rahi
umiid se thā tasavvur umiid hī na rahī
shab-e-firāq meñ pahlī sī be-kalī na rahī
jo baat saare fasāne kī jaan thī shāyad
mile jab un se to vo baat yaad hī na rahī
sivā hamāre kisī par bhī ye karam na huā
sivā hamāre kisī se ye be-ruḳhī na rahī
huā tumhārā tabassum bhī rā.egāñ āḳhir
mizāj-e-dil meñ yahāñ tak shaguftagī na rahī
jo is zamīn kā zarra koī chamak uTThā
to phir falak ke sitāroñ meñ raushnī na rahī
Dubo ke naav mirī mutma.in huā dariyā
mizāj-e-mauj meñ us din se sar-kashī na rahī
siyāhī shab kī ghaTī yā nahīñ magar 'ehsāñ'
vo aa ga.e to in āñkhoñ meñ tīrgī na rahī
umid se tha tasawwur umid hi na rahi
shab-e-firaq mein pahli si be-kali na rahi
jo baat sare fasane ki jaan thi shayad
mile jab un se to wo baat yaad hi na rahi
siwa hamare kisi par bhi ye karam na hua
siwa hamare kisi se ye be-ruKHi na rahi
hua tumhaara tabassum bhi raegan aaKHir
mizaj-e-dil mein yahan tak shaguftagi na rahi
jo is zamin ka zarra koi chamak uTTha
to phir falak ke sitaron mein raushni na rahi
Dubo ke naw meri mutmain hua dariya
mizaj-e-mauj mein us din se sar-kashi na rahi
siyahi shab ki ghaTi ya nahin magar 'ehsan'
wo aa gae to in aankhon mein tirgi na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.