ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi
ummīd-e-shauq ho yā vāda-e-rāhat-fizā koī
marīz-e-ishq ko achchhā nahīñ kartī davā koī
bharī duniyā meñ apne bhī haiñ begāne bhī haiñ lekin
nahīñ hamdard ab merā tire ġham ke sivā koī
purānā ho gayā hai zikr-e-tauba chhoḌiye saaqī
purānī ho to lā koī rakhā koī pilā koī
mujhe ye arz karnī hai tumhārī be-niyāzī se
tumhārī aarzū ke ba.ad kaisā mudda.ā koī
ye apnī apnī aadat hai ye apnī apnī fitrat hai
koī hai banda-e-mehr-o-vafā to be-vafā koī
zamāne kī nigāhoñ meñ gunahgār-e-vafā ham haiñ
na jaane kyuuñ nahīñ hotā hamārā faisla koī
ye dil aTke kā saudā hai ye dil aa.egā qissa hai
mohabbat kī nigāhoñ meñ nahīñ achchhā burā koī
samā kar dil meñ pardā hai nigāh-e-shauq se ya.anī
ḳhud apne aap se chhuptā hai ab kāfir-adā koī
'rishī' ham har kisī se haal dil kā kah nahīñ sakte
baḌī mushkil se miltā hai kahīñ dard-āshnā koī
ummid-e-shauq ho ya wada-e-rahat-fiza koi
mariz-e-ishq ko achchha nahin karti dawa koi
bhari duniya mein apne bhi hain begane bhi hain lekin
nahin hamdard ab mera tere gham ke siwa koi
purana ho gaya hai zikr-e-tauba chhoDiye saqi
purani ho to la koi rakha koi pila koi
mujhe ye arz karni hai tumhaari be-niyazi se
tumhaari aarzu ke baad kaisa muddaa koi
ye apni apni aadat hai ye apni apni fitrat hai
koi hai banda-e-mehr-o-wafa to be-wafa koi
zamane ki nigahon mein gunahgar-e-wafa hum hain
na jaane kyun nahin hota hamara faisla koi
ye dil aTke ka sauda hai ye dil aaega qissa hai
mohabbat ki nigahon mein nahin achchha bura koi
sama kar dil mein parda hai nigah-e-shauq se yani
KHud apne aap se chhupta hai ab kafir-ada koi
'rishi' hum har kisi se haal dil ka kah nahin sakte
baDi mushkil se milta hai kahin dard-ashna koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.