umid-e-subh KHayal-e-bahaar kya kya kuchh
umīd-e-sub.h ḳhayāl-e-bahār kyā kyā kuchh
gañvā ke baiThe haiñ ham jāñ-figār kyā kyā kuchh
junūñ-qimāsh thī apnī ḳhirad kī duniyā bhī
so bazm bazm sameTā ġhubār kyā kyā kuchh
vafā ḳhulūs muravvat sipās dildārī
hue haiñ ham se gunāh-e-kibār kyā kyā kuchh
tumheñ sarisht-e-alam se rahā 'ilāqa kab
ye ham hī the ki hue zer-e-bār kyā kyā kuchh
ye marhala bhī 'ajab hai ki be-sabātī-e-dil
dikhā rahī hai sar-e-ḳhvāb-zār kyā kyā kuchh
sukūt-e-shab meñ faqat intizār thā terā
ugā jo din to uge intizār kyā kyā kuchh
masīl-e-barg-e-hinā thī lahū kī nairañgī
ki laḳht laḳht ubhāre nigār kyā kyā kuchh
shikast-o-fat.h hayāt-o-mamāt sūd-o-ziyāñ
ye ek maiñ hai mirā intishār kyā kyā kuchh
zabān rang 'ilāqa qabīl jins nasab
har ik hai oḌhe hue ishtihār kyā kyā kuchh
uThe jo shaiḳh-o-barahman ba-nām-e-dair-o-haram
nafas nafas meñ uThe kār-zār kyā kyā kuchh
ḳhudā-parastī kaho chāhe ḳhud-parastī kaho
haiñ fī-zamāna yahī kārobār kyā kyā kuchh
fareb makr riyā ḳhud-numā.ī ḳhud-ġharzī
ye ujle chehre magar dāġh-dār kyā kyā kuchh
du'ā bahār kī bhūle se maañg baiThe the
so shāḳh shāḳh khile haiñ sharār kyā kyā kuchh
umid-e-subh KHayal-e-bahaar kya kya kuchh
ganwa ke baiThe hain hum jaan-figar kya kya kuchh
junun-qimash thi apni KHirad ki duniya bhi
so bazm bazm sameTa ghubar kya kya kuchh
wafa KHulus murawwat sipas dildari
hue hain hum se gunah-e-kibar kya kya kuchh
tumhein sarisht-e-alam se raha 'ilaqa kab
ye hum hi the ki hue zer-e-bar kya kya kuchh
ye marhala bhi 'ajab hai ki be-sabaati-e-dil
dikha rahi hai sar-e-KHwab-zar kya kya kuchh
sukut-e-shab mein faqat intizar tha tera
uga jo din to uge intizar kya kya kuchh
masil-e-barg-e-hina thi lahu ki nairangi
ki laKHt laKHt ubhaare nigar kya kya kuchh
shikast-o-fath hayat-o-mamat sud-o-ziyan
ye ek main hai mera intishaar kya kya kuchh
zaban rang 'ilaqa qabil jins nasab
har ek hai oDhe hue ishtihaar kya kya kuchh
uThe jo shaiKH-o-barahman ba-nam-e-dair-o-haram
nafas nafas mein uThe kar-zar kya kya kuchh
KHuda-parasti kaho chahe KHud-parasti kaho
hain fi-zamana yahi karobar kya kya kuchh
fareb makr riya KHud-numai KHud-gharzi
ye ujle chehre magar dagh-dar kya kya kuchh
du'a bahaar ki bhule se mang baiThe the
so shaKH shaKH khile hain sharar kya kya kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.