ummid ke lamhe kisi jaanib bhi nahin the
ummīd ke lamhe kisī jānib bhī nahīñ the
gahrī thī siyah-rāt kavākib bhī nahīñ thī
ik karb thā khiltī huī kaliyoñ ke badan meñ
bāloñ ke liye phuul munāsib bhī nahīñ the
tanhā.ī ke mausam meñ akele hī the ghar meñ
ā.īne magar ham se muḳhātib bhī nahīñ the
ma.atūb hue shah to ġhulāmoñ kī ban aa.ī
hākim hue haiñ vo jo musāhib bhī nahīñ the
ik chīḳh ḳhamoshī meñ dabī sehr-zada thī
go ā.inoñ se aks muḳhātib bhī nahīñ the
har dast-e-tajassus meñ thī chhūne kī havas tez
maujūd kī tasḳhīr meñ qālib bhī nahīñ the
ab kaaT rahe haiñ usī be-rang safar ko
ham apnī hī taqdīr ke kātib bhī nahīñ the
kaTte rahe dīvāroñ ke saa.e se 'nazar' ham
is rāhat-e-be-rang ke tālib bhī nahīñ the
ummid ke lamhe kisi jaanib bhi nahin the
gahri thi siyah-raat kawakib bhi nahin thi
ek karb tha khilti hui kaliyon ke badan mein
baalon ke liye phul munasib bhi nahin the
tanhai ke mausam mein akele hi the ghar mein
aaine magar hum se muKHatib bhi nahin the
matub hue shah to ghulamon ki ban aai
hakim hue hain wo jo musahib bhi nahin the
ek chiKH KHamoshi mein dabi sehr-zada thi
go aainon se aks muKHatib bhi nahin the
har dast-e-tajassus mein thi chhune ki hawas tez
maujud ki tasKHir mein qalib bhi nahin the
ab kaT rahe hain usi be-rang safar ko
hum apni hi taqdir ke katib bhi nahin the
kaTte rahe diwaron ke sae se 'nazar' hum
is rahat-e-be-rang ke talib bhi nahin the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.