ummid ke sahil pe Thahar kyon nahin jata
ummīd ke sāhil pe Thahar kyoñ nahīñ jaatā
dariyā mirī āñkhoñ kā utar kyoñ nahīñ jaatā
zīnat kī koī chiiz salāmat nahīñ maulā
naqsha ye mire ghar kā sañvar kyoñ nahīñ jaatā
muddat se kaḌī dhuup meñ jo garm-e-safar hai
vo dasht-e-tamannā se udhar kyoñ nahīñ jaatā
vo kab mire dukh-dard ko mahsūs karegā
kuuze meñ samundar ye utar kyoñ nahīñ jaatā
hāthoñ kī lakīroñ ne sitāre se kahā hai
āñgan meñ mire chāñd utar kyoñ nahīñ jaatā
kab tak maiñ sañbhālā karūñ ḳhākistar-e-dil ko
ḳhushbū kī tarah maiñ bhī bikhar kyoñ nahīñ jaatā
kis kis kī ināyāt kā ehsās sañbhāle
ye bojh mire sar se utar kyoñ nahīñ jaatā
tahzīb ke a.amāl ke ā.īne bahut haiñ
chehroñ kā magar rang nikhar kyoñ nahīñ jaatā
ummid ke sahil pe Thahar kyon nahin jata
dariya meri aankhon ka utar kyon nahin jata
zinat ki koi chiz salamat nahin maula
naqsha ye mere ghar ka sanwar kyon nahin jata
muddat se kaDi dhup mein jo garm-e-safar hai
wo dasht-e-tamanna se udhar kyon nahin jata
wo kab mere dukh-dard ko mahsus karega
kuze mein samundar ye utar kyon nahin jata
hathon ki lakiron ne sitare se kaha hai
aangan mein mere chand utar kyon nahin jata
kab tak main sanbhaala karun KHakistar-e-dil ko
KHushbu ki tarah main bhi bikhar kyon nahin jata
kis kis ki inayat ka ehsas sanbhaale
ye bojh mere sar se utar kyon nahin jata
tahzib ke aamal ke aaine bahut hain
chehron ka magar rang nikhar kyon nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.