ummid ki nadi pe lage band khul gae
ummīd kī nadī pe lage band khul ga.e
jis par khulā na aap mire chhand khul ga.e
maidān-e-'ishq meñ mujhe phir choT lag ga.ī
zaḳhmoñ se indimāl ke paivand khul ga.e
band-e-qabā the tang bahut zehn ke kabhī
ho kar tire ḳhayāl ke pāband khul ga.e
sunte the jin kī kam-suḳhanī kī kahāniyāñ
'anhad' tumhārī shakl meñ kyā ‘nand’ khul ga.e
ummid ki nadi pe lage band khul gae
jis par khula na aap mere chhand khul gae
maidan-e-'ishq mein mujhe phir choT lag gai
zaKHmon se indimal ke paiwand khul gae
band-e-qaba the tang bahut zehn ke kabhi
ho kar tere KHayal ke paband khul gae
sunte the jin ki kam-suKHani ki kahaniyan
'anhad' tumhaari shakl mein kya ‘nand’ khul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.