ummid thi kuchh aur hua aur hi kuchh hai
ummīd thī kuchh aur huā aur hī kuchh hai
lagtā hai muqaddar meñ likhā aur hī kuchh hai
ham ne to tire haq meñ kahā aur hī kuchh thā
tū ne jo raqīboñ se sunā aur hī kuchh hai
jis shahr meñ charche the kabhī amn-o-amāñ ke
us shahr meñ hangāma bapā aur hī kuchh hai
jis samt se thī bād-e-bahārī kī tavaqqo'
us samt se tūfān uThā aur hī kuchh hai
māñgī to du'ā ham ne 'jalīs' aur hī kuchh thī
dekhā to asar us kā huā aur hī kuchh hai
ummid thi kuchh aur hua aur hi kuchh hai
lagta hai muqaddar mein likha aur hi kuchh hai
hum ne to tere haq mein kaha aur hi kuchh tha
tu ne jo raqibon se suna aur hi kuchh hai
jis shahr mein charche the kabhi amn-o-aman ke
us shahr mein hangama bapa aur hi kuchh hai
jis samt se thi baad-e-bahaari ki tawaqqo'
us samt se tufan uTha aur hi kuchh hai
mangi to du'a hum ne 'jalis' aur hi kuchh thi
dekha to asar us ka hua aur hi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.