umid-war to barg-o-samar ke hum bhi hain
umīd-vār to barg-o-samar ke ham bhī haiñ
shajar na kaaT ki shāḳh-e-shajar ke ham bhī haiñ
ye aur baat ki dāman na mil sakā ham ko
gire hue to kisī chashm-e-tar ke ham bhī haiñ
subuk-ravāñ-e-mohabbat na yuuñ hañso ham par
shikasta-pā sahī is rah-guzar ke ham bhī haiñ
ye aur baat hamārī ḳhabar nahīñ rakhtā
hameñ ḳhabar hai kisī bā-ḳhabar ke ham bhī haiñ
ai ahl-e-qāfila tanhā safar bhī saḳht nahīñ
hamārā zād-e-safar hai safar ke ham bhī haiñ
umid-war to barg-o-samar ke hum bhi hain
shajar na kaT ki shaKH-e-shajar ke hum bhi hain
ye aur baat ki daman na mil saka hum ko
gire hue to kisi chashm-e-tar ke hum bhi hain
subuk-rawan-e-mohabbat na yun hanso hum par
shikasta-pa sahi is rah-guzar ke hum bhi hain
ye aur baat hamari KHabar nahin rakhta
hamein KHabar hai kisi ba-KHabar ke hum bhi hain
ai ahl-e-qafila tanha safar bhi saKHt nahin
hamara zad-e-safar hai safar ke hum bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.