umr aadhi ishq ki wo yun ganwata rah gaya
'umr aadhī 'ishq kī vo yuuñ gañvātā rah gayā
bevafā kah kar mujhe bas āzmātā rah gayā
shauq se tasvīr jis kī khīñchte rahte the sab
tiir khā ke vo parinda phaḌphaḌātā rah gayā
pūchh Daalā jab kisī ne hañsne rone kā sabab
naam terā in laboñ pe aatā aatā rah gayā
kyā kiyā hai aaj tak ye kah diyā hai us ne aaj
baap jis beTe kī ḳhātir bas kamātā rah gayā
jā rahā hai sāmne se haath thāme ġhair kā
aur maiñ pāgal use apnā batātā rah gayā
'umr aadhi 'ishq ki wo yun ganwata rah gaya
bewafa kah kar mujhe bas aazmata rah gaya
shauq se taswir jis ki khinchte rahte the sab
tir kha ke wo parinda phaDphaData rah gaya
puchh Dala jab kisi ne hansne rone ka sabab
nam tera in labon pe aata aata rah gaya
kya kiya hai aaj tak ye kah diya hai us ne aaj
bap jis beTe ki KHatir bas kamata rah gaya
ja raha hai samne se hath thame ghair ka
aur main pagal use apna batata rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.